👉 Niyyat Ki Ahmiyat – Ek Islamic Short Story in Hindi with Hadith

Hadith: Rasoolullah ï·º ne farmaya: "Innamal a’malu binniyat." (Amal niyyat par mabni hota hai — Sahih al-Bukhari ) Ek dil ko choo lene wali Islamic short story in Hindi jisme Rasoolullah ï·º ki hadees se seekh milti hai – Amal ki qeemat niyyat se hoti hai. Rafi ek chhota dukandaar tha. Ek din usne dekha ek buzurg aadmi bhookha aur thaka hua uske shop ke bahar baitha hai. Rafi ne socha — Agar main madad karunga to log tarif karenge. Usne khana diya aur photo social media par daal di. Kuch din baad wahi buzurg dobara aaye. Iss baar Rafi ne chupke se unhe khana diya, bina kisi ko bataye. Kuch mahine baad Rafi ko license ka kaam tha aur use ek reference letter chahiye tha. Tab wahi buzurg — jo ek retired member the license department ke — uske liye letter lekar aaye. Rafi ne samjha — pehli baar usne dikhawa kiya tha, lekin doosri baar uski N iyyat Saaf thi. Aur Allah ne usi niyyat ka barkat usko wapas di. Lesson Jo Hume Sikhne ko Milta hai :- Amal chhota ho ya bada, agar niyy...