Ek Sahabi - Hazrat Tamim Dari (رضي الله عنه) ki Dajjal se Mulaqat — Asli Waqiya jo Har Musalman ko Pata Hona Chahiye! – Real Islamic Story
Ek Sahabi .R.A Hazrat Tamim Dari (رضي الله عنه) ka Dajjal se samundar ke tapu par mulaqat ka waqiya – Ek asli Islamic kahani jise Rasoolullah ﷺ ne bhi tasdeeq farmayi. Padhkar imaan taza ho jayega aur akhirat ki nishaniyan samajh aayengi.
Story:- Hazrat Tamim Dari aur Dajjal Kaise Mile .
Ek baar Hazrat Tamim Dari رضي الله عنه, apne 30 saathi ke sath samundar ke safar par nikle. Unka kashti tufaan me fas gayi aur tees 30 din tak wo log samundar me bhatak kar ek ajeeb se tapu (island) par pahuche.
Jab wo tapu par utre, to unhone dekha — ek janwar jaisa makhlooq jiske Jism par baal hi baal the, itna ke samajh nahi aata tha uska aage ka hissa kaunsa hai aur peeche kaunsa.
Wo makhlooq boli:
Main Al- Jassasa Hoon: -
Phir usne kaha: -
Aap log us aadmi ke paas jao jo monastery (Ek Purani Imarat) me hai. Wo tumhara intezaar kar raha hai.
Sawal-Jawab ka Waqiya:-
Jab Hazrat Tamim Dari aur unke saathi us imarat ke andar gaye, to unhone dekha —
ek aadmi bandha hua tha, jise janjeeron se baandha gaya tha.
Uske haath aur pair sakh chainon(Janzeer) me the, aur wo aadmi bada taqatwar aur ajeeb tha.
Usne unse poocha:
“Tum log kaun ho?”
Tamim Dari ne jawab diya:
Hum Arab log hain. Samundar me tufaan me fas gaye aur yahan is tapu par aa gaye.
Phir us aadmi ne sawal kiya:
Kya Tiberiyas (Palestine) ka talaab ab bhi paani se bhara hai?”
Tamim Dari ne kaha:
“Haan, wo abhi bhi paani se bhara hai.”
Usne kaha: “Waqt aayega jab wo sookh jayega.”
Phir usne poocha:
Kya wo-Nabi-e-Ummi (ﷺ) zahir ho gaye hai jo Makkah me paida hue the?”
Tamim Dari ne kaha:
Haan, wo Makkah me zahir ho chuke hain aur log un par imaan la rahe hain.
Usne kaha: “To unke liye acha hai — main bhi aaoonga, lekin abhi mera waqt nahi aaya.”
Dajjal ka Asli Pehchaan :- Phir us aadmi ne kaha:
Main Masih ad-Dajjal hoon.
Jaldi hi mujhe ijazat milegi nikalne ki.
Main poori duniya ka safar karunga —
40 din me har jagah pahunch jaunga,
siwaye Makkah aur Madinah ke,
kyunki wahan par har darwaze par Farishte talwar le kar pehra denge.”
________________________________________
Nabi ﷺ ka Bayan :-
Hazrat Tamim Dari ne jab Madinah pahunch kar ye waqiya Rasoolullah ﷺ ko sunaya,
to Nabi ﷺ ne logon ko masjid me bulaya aur bayan farmaya:
“Aye logon! Tamim Dari ne wahi bataya jo maine tumhe Dajjal ke bare me pehle bataya tha.”
(Sahih Muslim, Kitab al-Fitan, Hadith No. 2942)
Aur Nabi ﷺ ne tasdeeq farmayi ke Dajjal zinda hai,
aur abhi us tapu me bandha hua hai jab tak Allah usse ijazat nahi deta.
Moral of the Story :-
Ye waqiya sirf ek kahani nahi,
balke imaan ko jagaane wali sachchai hai.
Duniya aaj bhi Dajjal ke fitnon ke daur me ja rahi hai —
Technology, aur dhokhe se bharpur zamana.
👉 Apne imaan ko mazboot karo, Surah Al-Kahf padho, aur akhirat ki tayari karo.
Ye waqiya sirf ek kahani nahi — ye iman aur akhirat ki yaad dilane wali haqiqi hadees hai.
Har Musalman ke liye zaroori hai ke wo Dajjal ke fitne se hoshiyar rahe aur Surah Al-Kahf padhta rahe.
💬 Follow karo hamare blog MyFikreAakhirat.Blogspot.com
taaki aap roz padh sako Islamic kahaniyan, Prophet ke waqiyat, aur akhirat ki nishaniyan par based real Islamic stories.
Comments
Post a Comment