Sabr ka Sila — Jab Allah Der Karta Hai, Magar Be-Insafi Nahi Karta
Kabhi kabhi Allah der karta hai, lekin be-insaafi kabhi nahi karta...
Yusuf ki ye kahani sabr aur yakeen ka saboot hai.” 🌙Prophet Muhammad ﷺ ne farmaya:
“Jis ne sabr kiya, Allah usse behtar inaam deta hai.”
(Sahih Bukhari, Hadith No. 1469)
Story:-
Ek chhote se sheher me Yusuf naam ka ek deendar aadmi rehta tha. Har mushkil ke bawajood wo kabhi namaz nahi chhodta tha.
Bhut din ho gaye the, uske paas na naukri thi, na paisa. Lekin uska imaan hamesha mazboot tha.
Roz raat sajde me kehta,
Ya Allah, mujhe yakeen hai Tu meri dua zaroor qabool karega, chahe der ho jaye.
Uski biwi bhi deendar thi, parde me rehti thi, aksar ro padti thi:
Humne har haram cheez se doori banayi hai, phir bhi Allah humara imtihan kyun le raha hai?”
Yusuf kehta:
Imtihan hamesha unka liya jata hai jo paas hone layak hote hain.
Ek din Yusuf ne socha ke kuch chhoti si mehnat khud se shuru kare. Usne apna purana saman bech kar thoda paisa ikattha kiya aur ek chai stall lagaya.
Log haste the — “Qki wo janta to tha computer ke padhai lekin halat se majbur hokar chai bech raha hai?”
Lekin Yusuf kehta,
Rizq har surat me izzat se hi mangta hoon, haram se nahi.
Kuch hafton baad ek aadmi roz uske stall par aane laga — wo ek chhoti company ka malik tha. Usse Yusuf ka adab, uska tarika aur imaandari pasand aayi.
Ek din usne Yusuf se poocha,
“Tumne padhai kya ki hai?
Yusuf ne muskurate hue bataya ke wo computer technician or ye kam kar chuka hai lekin naukri nahi mil rahi thi.
Us aadmi ne kuch din dekha fr jb uska bharosa ban gya to turant kaha,
Kal se meri company me kaam shuru karo. Mujhe tum jaise imaandar log chahiye.
Kuch mahine baad Yusuf ne apni lagan aur imaandari se company me sabka dil jeet liya.
Wahi malik ne ek din kaha,
Yusuf, main chahata hoon tum mere business partner ban jao or dusre desho me bhi karobar ko sambhalo.
Us waqt Yusuf ki aankhon se aansu beh gaye. Sajde me gir kar bola:
“Ya Allah, Tu ne meri dua us waqt qabool ki jab main sabr me sabse zyada kamzor ho raha tha. Tu ne sirf naukri nahi, izzat aur nayi zindagi di.
Story Se Milne Wala Sabak :-
Jab Allah der karta hai, to behtareen waqt ka intezaar karta hai.Sabr sirf rukne ka naam nahi, balki yaqeen banaye rakhne ka naam hai.
Comments
Post a Comment